MOHD RAFI & ASHA BHOSLE ABHI NA JAO CHOD KAR LYRICS

 
Abhi naa jao chhodkar, ke dil abhi bharaa nahin

Abhi abhi to aaye ho, bahaar ban ke chhaye ho
Hawaa zaraa mahek to le, nazar zaraa bahak to le
Ye shaam dhal to le zaraa, ye dil sambhal to le zaraa
Mai thodi der jee to lu, nashe ke ghoont pee to lu
Abhi to kuchh kahaa nahin, abhi to kuch sunaa nahin...

Sitaare zilmilaa uthhe, charaag zagmagaa uthhe
Bas ab naa mujh ko toknaa, na badh ke raah roknaa
Agar main ruk gayi abhi, to jaa na paungi kabhi
Yahi kahoge tum sadaa, ke dil abhi bhara nahin
Jo khatm ho kisi jagah, ye aisa silsilaa nahin...

Adhuree aans chhod ke, adhuree pyaas chhod ke
Jo roz yunhi jaogi, to kis tarah nibhaaogee
Ke zindagi ki raah main, jawaa dilon ki chaah main
Kai makaam aayenge, jo hum ko aazmayenge
Bura naa maano baat ka, ye pyaar hain gilaa nahin
Yahi kahoge tum sadaa, ke dil abhee bharaa nahin